suna hai tum manon mitti tale aaram karti ho tum aur aaram na-mumkin suna hai maut se bhi aakhiri dam tak ladai ki mujhe malum hai tum kitni ziddi thin qasam in khurdure hathon ki main jin mein qalam pakde hue hun nihayat be-imani se tumhein har bar main tum se chura kar nazm bunti hun kahani kadhti hun aur sab se jhut kahti hun ki sare harf mere hain suna hai jis ghadi duniya mein main aai tumhin ne shahd bhi mujh ko chataya reshmi ungli se kajal bhi lagaya tha wo pahla shahd ka qatra mere sheron mein ras ban kar mahakta hai to mujh par dad aur tahsin ki barsat hoti hai wo kajal reshmi ungli se jo tum ne lagaya tha meri aankhon mein aisa nur laya ki jo neki badi mein khatt-e-fasil khinch deta hai tarai ke bahut chhote se qasbe ke kisi khamosh aangan mein mujhe tum dudh chawal chand ki mithi katori mein khilati thin to rani ketki wali kahani bhi sunati thin kabhi tum apne pahlu mein lita kar aasman ke nit-nae asrar samjhatin wo dekho kahkashan kahte hain jis ko ye haqiqat mein nabi-ji ki sawari ke qadam ki dhul hai sari kabhi tum dil-nashin aawaz mein lori sunati thin magar main bhi tumhaari hi tarah ki ek ziddi thi mujhe kab nind aati thi tumhaari reshmi ungli pakad kar main anokhi kahkashaon ke safar par chal nikalti thi anokhi kahkashaen jo gali kuchon mein bikhri thin wo ek na-bina budhiya jis ke tute jhonpade mein shab ki tariki mein tum ja kar niwala apne hathon se khilati thin mohalle mein koi bachcha jo aadhi raat ko rota to tum bechain hi rahti thin jab tak ho na aati thin tumhein bachchon se aur bachchon ko tum se ishq tha goya kaha jata hai tum dushman banane mein bhi mahir thin haris aisi ki kam qimat koi malbus nazron mein na lati thin ghani aisi ki ek luqma na marzi ke khilaf apne uthati thin raunat aur darweshi tumhaari zat ke ek mantaqe par aan milte the shikayat ranj bimari ye wo alfaz the jin ko lughat se apni kharij kar diya tha jaane kab tum ne suna ye hai tumhein quran bhi achchhi tarah padhna na aata tha magar main ne to ye dekha gali ke kitne hi aawara kutte dum daba kar baith jate the tumhaari ek summun aur bukmun ki tilawat se tumhaare hath ke mithe malide mein jo dargahon ki khushbu thi main likhna chahti hun to simat kar jazb ho jati hai kaghaz mein tumhaare pople honton ka nazuk kham ek aisa harf-e-abjad tha jise jitna main padhti hun nae asrar khulte hain rupahli jild ki afshan bikhar jati hai kaghaz par kabhi qirtas par tum jhurriyon mein jhilmilati ho hamesha ki tarah se mithe mithe muskuraati ho to apne khurdure hathon ko main hairat se takti hun suna ye hai tumhein likhna na aata tha tumhaare hath ki kapde ki gudiya aur gulabi rang ki mitti ki chidiya lafz ban kar jab bhi kaghaz par chahakti hain main chaalaki se hansti hun chalo achchha hai logon ko yahi malum hai ab tak tumhein likhna na aata tha