is qadar hasin chehra is qadar hasin aankhen ye gulab se rukhsar pal mein tamtama utthen pal mein jagmaga utthen pankhudi se nazuk lab aap hi bisoren aur aap muskura utthen mujh ko yaad aata hai jab tumhaari kilkari gunjti thi kamron mein jab tumhaari gul-kari phailti thi bistar par shab ko jab jagate the din ko jab thakate the aisi hukmarani par meri jaan jalti thi aur aise lamhe mein tum hansi udate the tum hansi udate the qahqahe lagate the kis ne ye sikhae sab naz aur ada tum ko tum to sada kaghaz the tum ko main ne jab paya tum ko main ne jab dekha aur jis ghadi chuma kya ajib lamha tha tum to aankhen munde the aur jab khulin aankhen hairati tha aaina munh taka hi karta tha bas khamosh jis-tis ka phir jo lab hue goya kuchh yaqin na aata tha sab karishma-sazi hai ek andhe kide ki ya zara si mehnat hai is bhali kumhaaran ki jis ke band aawe mein kuchh khabar nahin kya hai aag hai ki pani hai phul hai ki chehra hai han suna ye tha main ne arsh se farishta ek aa ke batn-e-madar mein dhaalta hai khadd-o-khal nanhe nanhe aaza par naqsh se banata hai us hasin saat mein jis ko jitni fursat ho jaisi istitaat ho wo hunar dikhata hai so yaqin hai mera jis azim saat mein mehrban farishte ne tum ko mujh mein dhaala hai us baligh saat mein us ne shairi ki hai us ne hamd likkhi hai