tumne use kahan dekha hai

kabhi tum ne dekha hai
khwabon se aage ka manzar

jahan chand taron se ruthi hui
raat apne barahna badan par

siyah rakh mal kar
alaw ke chaaron taraf nachti hai!

kabhi tum ne jhanka hai
palkon ke pichhe

thaki nili aankhon ke andar
jahan aasmanon ki sari udasi

khala-dar-khala tairti hai
kabhi tum ne ek din guzara hai

raston ke donon taraf istada
ghane sabz pedon ke niche

jahan dhup apne liye
rasta dhundhti hai!

kabhi tum ne puchha hai
chalte hue raste mein

kisi ajnabi se
pata us ke ghar ka

hawa jis ke qadmon ke mitte nishan chumti hai
nagar-dar-nagar ghumti hai!!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close