azizo! agar raat raste mein aae agar dana o dam ka sehr jage agar udte udte kisi roz tum aashiyan bhul jao to pichhli kahani mein maujud jugnu se dhoka na khana kahani, nahin dekhti gham ke nam ko kahani nahin jaanti kaif-o-kam ko kahani ko wahm-o-guman ki kathin rah se kaun roke kahani ka pairaya khwahish ka qaidi nahin pairahan koi badle to badle, kahani badalti nahin hai azizo! agar raat aae to raste mein padti meri jhonpadi ka diya dekh lena main khud ade udte yahin par gira tha