miyanwali bhi apni rut badalta hai magar mere dil ki zaminon par wahi mausam khizan ka wahi be-shakl chehra aasman ka wahi be-ab dariya dastan ka wahi be-ruh manzar hain wahi be-rang taswiren wahi chashme wahi, ubla hua pani darakhton se musalsal bhap ban kar uth raha hai pighalti ja rahi hain meri raaten sawa neze pe suraj hai magar shab ki siyahi ud rahi hai meri mitti mein mere andar ki faslen tirgi ki dhup mein murjha gai hain mujhe koi shikast-e-zat ki illat bata de!