lauh ka rasta, dhup ke shamiyanon se dhanpa hua ajnabi ajnabi chap sunta raha sath chalta raha aur phir ek din das moharram ki aankhon se nikla hua ek sunahri kanwal yun uchhaala ufaq ki shafaq jhil mein sham ke waqt ne jaise iblis sikka koi phenk de rahm-e-tarikh ke surkh kashkol mein aasman ruk gaya ruk gaya aasman so gaya ijtimai lahad mein kahin zindagi ka damishq main ne socha ki aise mein bahta nahin ashk-e-ab-e-furaat rasta rok pahle padaw ke kheme laga aur phir sham ki baz-gashton mein bahti azan mujh se kahne lagi waqt ko zae karna gunah-e-kabira se bhi badh ke hai qibla-ru ho ke labbaik main ne kaha koi shah-e-rag ke andar se kahne laga ki namazen qaza laut sakti hain lekin qaza saaten laut sakti nahin!