nawa-e-dard meri kahkashan mein dub gai wo chand taron ki sail-e-rawan mein dub gai saman-baran-e-falak ne sharar ko dekh liya zamin walon ke dil ko nazar ko dekh liya wo meri aah ka shoala tha koi tara na tha wo khak-dan ka musafir tha mah-para na tha dilon mein baith gaya tir-e-arzu ban kar falak pe phail gaya ishq ka lahu ban kar ye sakinan-e-falak dard-o-gham ko kya jaanen ye khakiyon ke rah-e-besh-o-kam ko kya jaanen wo gham ko pi to gae aansuon ko pi na sake zamin ke zahr ko pi kar wo aur ji na sake falak se girne lage tut tut kar tare zamin pe dher hue tir-e-ah ke mare ye aag aur bhi upar nikal gai hoti harim-e-arsh ko chhu kar nikal gai hoti