mere des ki un zaminon ke bete jahan sirf be-barg patthar hain sadiyon se tanha jahan sirf be-mehr mausam hain aur ek dardon ka sailab hai umr-paima pahadon ke bete chameli ki nikhri hui pankhudiyan sang-e-khara ke reze sajal dudhiya narm jism aur kade khurdure sanwle dil shuaon hawaon ke zakhmi chatanon se gir kar khud apne hi qadmon ki mitti mein apna watan dhundte hain watan dher ek an-manjhe bartanon ka jise zindagi ke pasinon mein dubi hui mehnaten dar-ba-dar dhundhti hain watan wo musafir andhera jo unche pahadon se girti hui naddiyon ke kinaron pe shadab shahron mein ruk kar kisi aahani chhat se uthta dhuan ban gaya hai nadi bhi zar-afshan dhuan bhi zar-afshan magar paniyon aur pasinon ke anmol dhaare mein jis dard ki mauj hai umr-paima zamiron ke qatil agar us ko parkhen to sinon mein kali chatanen pighal jaen!