tute shishe ki aakhiri nazm bhagte waqt ko main aaj pakad laya hun ye mera waqt mere zehn ki takhliq sahi raat aur din ke tasalsul ko pareshan kar ke main ne lamhat ko ek rup diya subh ko raat ki zanjir se aazad kiya khwab-o-bedi ki diwar gira di main ne zindagi maut se kab tak yun hirasan rahti kya hua waqt o haqiqat ka zawal main apni tuti hui zanjir kahan dafn karun har taraf qabren mujawir hain dewtaon ke muqaddas ajsam har jagah dafn hain koi virana nahin dur talak kya mujhe apne hi zehn ke is goshe mein tute aadarshon ke aaine mein waqt ke aks ko dafnana hai