koi diwana agar raat gae rota hai us ki aawaz bahut dur sunai degi chahe logon ko sarokar na ho bebasi chhai ho khamoshi ho har taraf ek faramoshi ho phir bhi be-zar na ho koi diwana agar raat gae rota hai us ki aawaz bahut dur sunai degi koi samjhae wo kyun rota hai shayad un khwabon ki khatir jo na pure honge ya ba-dastur adhure honge kholta hai kabhi tanhai ke bhaari parde rauzan-e-dar se sitaron ko chamakta dekhe bagh-e-nau-khasta har samt mahakta dekhe aur banjar pade armanon ko sairab kare dekho ek bund giri thahre hue pani mein daera ban gai badhti hi gai karb-e-tufan-e-nihan mauj ke dil se puchho phailte phailte sahil se jo mil jaegi koi diwana agar raat gae rota hai us ki aawaz bahut dur sunai degi