udasi

wo shakhs jis ko hanste hue ghar pasand the
wo shakhs jis ko bolte manzar pasand the

wo shakhs jis ke sath samay khush-gawar tha
wo shakhs jaane kitne dilon ka qarar tha

kuchh waqt se wo haalat-e-duniya se hai khafa
khushbu se ranj koh se dariya se hai khafa

aankhen udas aisi ki mathe pe bal paden
afsurdagan-e-shahr ke aansu nikal paden

duniya mein gum nahin hai gham-e-zat mein hai gum
kaise bataun tum ko wo kis baat mein hai gum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close