uDne wale phul

aao dikhlaen udne wale phul
is chaman mein hain ye nirale phul

koi sabz aur koi gulabi hai
aatishi koi koi aabi hai

koi nila hai aur koi pila
jis ko dekho ghazab ka rangila

chhidki qudrat ne in par afshan hai
aankh sanat pe in ki hairan hai

pattiyan do hain kaenat in ki
had se badh kar magar sifat in ki

ghas par dekho in ki aaraish
kaisi hai dil-fareb zebaish

narm nazuk hare bhare tinke
jhuke jate hain bojh se in ke

dekhna tum na badha dena hath
kahin in ko laga na dena hath

yan se kar jaenge abhi parwaz
in ki hasti ka hoga ifsha raaz

shad ho kar hawa mein khelenge
is chaman ki faza mein khelenge

khub atkheliyan karenge ye
naz se shokhiyan karenge ye

phul samjhe hue the hum jin ko
log kahte hain titliyan in ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close