meri hamdam, mere khwabon ki sunahri tabir muskura de ki mere ghar mein ujala ho jae aankh malte hue uth jae kiran bistar se subh ka waqt zara aur suhana ho jae mere nikhre hue giton mein tera jadu hai main ne meyar-e-tasawwur se banaya hai tujhe meri parwin-e-takhayyul, meri nasrin-e-nigah main ne taqdis ke phulon se sajaya hai tujhe dudh ki tarah kunwari thi zamistan ki wo raat jab tere shabnami aariz ne dahakna sikha nind ke sae mein har phul ne angdai li narm kaliyon ne tere dam se chatakna sikha meri takhil ki jhankar ko sakit pa kar! chudiyan teri kalai mein khanak uthti thin uf meri tishna-labi tishna-labi tishna-labi! kachchi kaliyan tere honton ki mahak uthti thin waqt ke dast-e-giran-bar se mayus na ho kis ko malum hai kya hona hai aur kya ho jae meri hamdam, mere khwabon ki sunahri tabir muskura de ki mere ghar mein ujala ho jae