hawa mein udta hai kajal faza hai huzn se bojhal har ek kunj ki halchal kohar mein dub chali hai wo kahkashan hai wo is par sahab-e-nur ka baran ye apna khak-basar ghar ye apni tera gali hai wo mah nikla pa us ka farogh bahr-e-falak hai nasib-e-arz to shayad takaddur-e-azali hai na jaane kab se khayalon mein apne mahw khadi hai wo ek sakhi jo nazakat mein motiya ki kali hai na phul baalon mein gundhe na ghar mein dip jalaya sharik-e-gham ne manaya magar na un se mani wo wo thak ke late gae khwab ke nagar ko sudhaare magar dariche mein apne khadi sisakti rahi wo sitare karte rahe chashmaken to kuchh bhi na boli ki ek shakh thi ghunchon ke khun mein dubi hui wo na jaane danish-o-din-o-hunar ka narkh ho ab kya rawan pak ki qimat to jag mein haar gai wo na dhund pai mudawa-e-zakhm-zar-e-tamanna samajh saki na taqaza-e-ahd-e-tifl-kushi wo ufuq se ta-ba-ufuq zard na-murad bagule ufuq se ta-ba-ufuq ek muhib sog hai tari ufuq se ta-ba-ufuq sang-dil kathor chatanen har ek sahar hai sayyaad har tilism shikari har ek jada mein bosida ustakhwanon ke tukde kahin hai sokhta mahmil kahin shikasta amari na jahl se koi dhaaras na aagahi se tasalli na waqt-e-nala-o-zari na hosh-e-zakhm-shumari na koi nand unhen apni jhonpadi mein panah de jo shyam ladle kal the wo aaj sab pe hain bhaari na un ki aag se gulshan koi zuhur mein aae na un ke panw ragadne se rud-e-ab ho jari na un ko tera kuen se nikalen qafile wale na nil-e-waqt ki maujon ko un ki jaan ho pyari na un ke daman-e-ismat ko tham lene se chhaen ghataen tishna-dahan banjh wadiyon pe hamari na un ki chashm-e-karam sarsar-o-sumum mein ghole safa-e-baad-e-sahar dam-e-surur baad-e-bahaari har ek umang ki titli ne jaise jog liya hai har ek umid ke jugnu ne tan pe rakh mali hai hazar sala masafat khayal-o-wahm-o-guman ki aur is ke baad bhi pinhan shua-e-lam-yazli hai jo aas tira-guphaon mein jangalon mein thi rahbar wo jagmagati hui nagriyon mein ruth chali hai ye mamta hai ki shoalon mein koi phul ki patti hayat hai ki abhagan ye koi kokh jali hai ye kaenat hai kitni azim kitni kushada magar hamare tasawwur ke tangna mein dhali hai na jaane kab se khayalon mein apne mahw khadi hai wo ek sakhi jo nazakat mein motiya ki kali hai