kahin bhi ja-e-aman nahin hai na raushni mein na tirgi mein na zindagi mein na khud-kushi mein aqide zakhmon se chur paiham karahte hain yaqin ki sans ukhad chali hai jamil khwabon ke chehra-e-gham-zada se nasur ris raha hai aziz qadron pe jaan-kani ki giraft mazbut ho gai hai patang ki tarah kat chuke hain tamam rishte jo aadmi ko qarib karte the aadmi se dilon mein qaus-e-quzah ki angdaiyan jin se tutti thin na fard hi ka makan salamat na ijtimai wajud hi zer saeban hai koi khuda tha to wo kahan hai? koi khuda hai to wo kahan hai? muhib tufan muhib-tar hai pahad tak ret ki tarah ud rahe hain bas ek aawaz gunjti hai mujhe bachao mujhe bachao magar kahin bhi aman nahin hai jo apni kashti pe bach rahega wahi alaihissalam hoga