umr ki dhalti hui dopahar mein thandi hawa ke jhonke ka ehsas bhi aadmi ko taza-dam kar deta hai aur agar sach-much khunuk hawaen thakan-nasib jism se khelne lagen to shab ki tariki khizab jaisi dikhai deti hai aas-pas gardish karta hua sannata aarzuon ki gahmagahmi se gunjne lagta hai khwab tabiron ki talash mein bhatakne lagte hain badan ki uktahaten chaupal ke shor-sharabe mein dub jati hain dhalte hue suraj ki lali se suhag jode ki khushbu aane lagti hai lekin khwabida aarzuon ki shahrah se guzarte hue log apni manzil ka pata bhul jate hain isi pata bhulne ko samaj dharm aur mazhab ki aad le kar aisi ba-huda galiyan deta hai jo twaifon ke mohallon mein bhi nahin sunai detin