ek gali jo kichad ke manind chaspan hui hont jo kasa-e-muflisi ban gae hath jo gardanon par jhapatne lage aur chawal ke jab chand dane mile antadiyon ka ye aatish-fishan bujh gaya pet ki bhuk sach-much jahannam ka tanur hai lekin is bhuk ka kya mudawa karen jo usulon ke is qaht mein apne zakhmon pe khamosh hai shaar-e-am par chatti hai unhen aur is bhid mein kaun hai jo use bhik de sab bhikari hain koi dayalu nahin