hum nanhe nanhe is duniya ke bachchon ki jo fitrat hai wo ek si hai masum si hai gar ladte aur jhagadte hain pul mein yakja ho jate hain hum mein na to kuchh bhed bhaw hai aur na dil mein hum sab ke dil mein baste hain mil kar sab rote hanste hain phir bhi is daur-e-taraqqi mein in bade badon ki basti mein itni lambi duri kyon hai aur itna bada ye farq hai kyon aao pasha hum sab sathi ek naghma sunain mil jal kar is daur ke sare buzurgon ko kuchh gur ki baat bata jaen aur amn ki rah dikha jaen hail diwar gira jaen rahnuma mil-jul ke sikha jaen