tu mere pas rahe main teri ulfat mein fana jaise angaron pe chhinton se dhuan bint-e-mahtab ko haale mein liye to farozan ho magar sari tapish meri ho phaile aflak mein be-samt safar sath mein waqt ka rahwar liye jis taraf mauj-e-tamanna kah de justuju shauq ka patwar liye guftugu rabt ke ehsas se dur khamushi ranj-e-mukafat se dur chandni ki kabhi sargoshi si phul ke narm labon ko chume gard andesha ko shabnam dho de qahqahe phutin tammul ke baghair nur uble kabhi fawwaron mein aur nuqte mein simat aae kabhi tah-ba-tah khole rida zulmat ki apni bebak nigahon se munawwar kar de nuqta-e-wasl ye mitta hua dhabba hi sahi hosh bahta hai to bah jaane de tu mere pas rahe main teri ulfat mein fana