abhi jang jari hai jalne lagin bastiyan uth raha hai dhuan ek khun-rez dariya darakhton ko sairab karta hai jangal mai-e-nab se kitna masrur hai jangal jari kahan hai wo dekho pahadon ke daron mein bhagdad machi hai bikharti hui fauj ke surma pith par zakhm khane ke shaida unhin ki hai miras sari udasi jo basti ke kheton mein gandum ke khoshon mein chhup kar shikam mein utarti hai tarik kamron mein munh ko chhupati hai aawaz de koi aawaz de aao barfili choti pe dauden samundar mein ghote lagaen taaqub karen maut ka aur aisa bhi ho zindagi tohfa-e-jang daudate ghode se banhon mein le kar nikal jaen sarpat kahin do-ghadi ke liye abhi jang jari hai jangal ko sairab karta hai khun-rez dariya ki jangal ka qanun bhi to yahi hai