chand ki nazr kiye main ne nazar ke sajde husn-e-masum ke jalwon ka parastar raha main ne taron pe nigahon ki kamanden phenkin ek rangin haqiqat ka talabgar raha zehn ke parde pe raqsan hai koi aks-e-jamil husn ke rup mein shayad wo yakayak mil jae har nae jalwe se be-sakhta yun lipta hun jaise bichhda hua ek dost yakayak mil jae main ne alfaz mein ruman ke naghme dhaale sai-e-takhliq-e-tarannum se sukun mil na saka mutmain ho na sakin meri sulagti nazren hasb-e-dil-khwah mujhe zauq-e-junun mil na saka meri aashufta-nigahi ka asar chhin jae mujh se ai kash mera zauq-e-nazar chhin jae