ek sapera meri gali mein aa nikla kal sham us ki aankhen chamkili thin aur aankhen sangin lekin ras mein bhige naghme chhed rahi thi bin naghme jin mein jag rahe the duniya ke aalam us ke gale mein sanp pada tha jaise koi haar us ne gale se sanp utara aur kaha ki jhum mitti chat ke pyar se babu-ji ke panw chum sanp ne mujh ko jhum ke chumna chaha jo ek bar main ghabra ke pichhe hata aur main ne kaha nadan! sanp ki patthar tod ke rakh de jis ka zahri war sanp ko kaun sikha sakta hai insanon se pyar is ko neki aur badi ki kya hogi pahchan hans ke sapera bola babu mujh se ho gai bhul tum jo ek duje ke gale par rakhte ho talwar tum shahron ke basi kya samjhoge kya hai pyar mere liye ye sanp hain mere sundar ban ke phul mathe par ye kantha dekho jaise koi taj ye raja hain par nahin pite kamzoron ka khun ye nahin marte ek duje ke khemon par shab-khun ye nahin lutte apni maon aur bahnon ki laj ye nahin dasne wale in par dal ke dekho hath khush-qismat ho aur tumhaare achchhe hain haalat tum insan-gazida ho kar samjhoge ye baat insanon ka sath bura hai ya sanpon ka sath