ajib chakkar koi chala hai jo shai jahan se uthana chahi utha na pae jahan jo rakkha wahan wo rakkha nahin raha hai jo likhna chaha wo likh na pae tamam chakkar ulat chala hai jo khwab ke daere se bahar tha us ne aankhon se bair rakkha dil-o-nazar mein jise jagah di wo khwab ban kar bikhar gaya hai nasib mein jo nahin tha us ki talash mein zindagi laga di jo hath mein tha wo be-khudi mein diya hai jo baat kahni thi us ki himmat juta na pae jo lab pe aaya wo harf hi ghair ho gaya hai