mahakte reshmi bistar pe tuta kanch bikhra hai mulaem narm takiye mein basi hai khurduri khushbu nashili nind ke tukde hain kude-dan ki zinat likhi hain qurmuzi pardon pe na-manus tahriren sunahre phul-danon mein saji hain ajnabi aankhen ye sab kaise hua aur kyun hua kis khwab se puchhun main kya sochun meri sochen mere apne lahu mein dub jati hain hai koi zakhm aisa jo musalsal khun ugalta hai lahu ki dhaar girti hai khayal-o-khwab ke upar