wo daur aane wala hai begam ne ye kaha kar dengi band aurten mardon ka natiqa ab wo zamana aaega mahwash kamaenge aur mard ghar pe baith ke khana pakaenge tum mera ghar pe baith ke dekhoge rasta ab tum mere huzur mein laoge nashta had se bura huzur ka anjam howega mardon se guftugu ka ghazal nam howega budhe ko sola sal ki dulhan pasand hai mardon ko sari nasl corruption pasand hai hum log badh rahe hain taraqqi ki rah mein sar mein dimagh rakhte hain duniya nigah mein lady police wali hai lady hai fauj mein kitne sudhaar aae hain aurat ki nauj mein lungi se dhanp dhanp ke munh apna roenge aurat jahan jahan thi wahan mard hoenge hum ne kaha ki is mein nahin hai muzaiqa hum bhi badal ke dekhenge ab munh ka zaiqa ab ladkiyon pe barq-e-tabassum giraenge ab ladke apne husn ka jalwa dikhaenge kitni musibaton se milegi hamein najat soega ladka jagegi ladki tamam raat aaega ab na surat-e-ashiq pe rang-e-yas ab phul ud ke aaenge bhanwre ke aas-pas sochenge pahron baith ke qanun-e-mahwashan ab rape ki report likhaenge naujawan diwangi mein chaak gareban kiye hue laila milegi baal pareshan kiye hue niklegi shirin hath mein tesha liye hue farhad hoga pet mein bachcha liye hue majnun ko mahmalon mein bithaen to khub hai lailaen zauq-e-qais dikhaen to khub hai
This is a great pagal ashiq shayari. True lovers of dulhan shayari hindi mai will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ladka ladki shayari hindi. Please share if you liked this!!!