dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai qudsi-ul-asl hai rifat pe nazar rakhti hai khak se uthti hai gardun pe guzar rakhti hai ishq tha fitnagar o sarkash o chaalak mera aasman chir gaya nala-e-bebak mera pir-e-gardun ne kaha sun ke kahin hai koi bole sayyare sar-e-arsh-e-barin hai koi chand kahta tha nahin ahl-e-zamin hai koi kahkashan kahti thi poshida yahin hai koi kuchh jo samjha mere shikwe ko to rizwan samjha mujh ko jannat se nikala hua insan samjha thi farishton ko bhi hairat ki ye aawaz hai kya arsh walon pe bhi khulta nahin ye raaz hai kya ta-sar-e-arsh bhi insan ki tag-o-taz hai kya aa gai khak ki chutki ko bhi parwaz hai kya ghafil aadab se sukkan-e-zamin kaise hain shokh o gustakh ye pasti ke makin kaise hain is qadar shokh ki allah se bhi barham hai tha jo masjud-e-malaik ye wahi aadam hai aalim-e-kaif hai dana-e-rumuz-e-kam hai han magar ijz ke asrar se na-mahram hai naz hai taqat-e-guftar pe insanon ko baat karne ka saliqa nahin na-danon ko aai aawaz gham-angez hai afsana tera ashk-e-betab se labrez hai paimana tera aasman-gir hua nara-e-mastana tera kis qadar shokh-zaban hai dil-e-diwana tera shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne ham-sukhan kar diya bandon ko khuda se tu ne hum to mail-ba-karam hain koi sail hi nahin rah dikhlaen kise rah-raw-e-manzil hi nahin tarbiyat aam to hai jauhar-e-qabil hi nahin jis se tamir ho aadam ki ye wo gil hi nahin koi qabil ho to hum shan-e-kai dete hain dhundne walon ko duniya bhi nai dete hain hath be-zor hain ilhad se dil khugar hain ummati bais-e-ruswai-e-paighambar hain but-shikan uth gae baqi jo rahe but-gar hain tha brahim pidar aur pisar aazar hain baada-asham nae baada naya khum bhi nae haram-e-kaba naya but bhi nae tum bhi nae wo bhi din the ki yahi maya-e-ranai tha nazish-e-mausam-e-gul lala-e-sahrai tha jo musalman tha allah ka saudai tha kabhi mahbub tumhaara yahi harjai tha kisi yakjai se ab ahd-e-ghulami kar lo millat-e-ahmad-e-mursil ko maqami kar lo kis qadar tum pe giran subh ki bedari hai hum se kab pyar hai han nind tumhein pyari hai tab-e-azad pe qaid-e-ramazan bhaari hai tumhin kah do yahi aain-e-wafadari hai qaum mazhab se hai mazhab jo nahin tum bhi nahin jazb-e-baham jo nahin mahfil-e-anjum bhi nahin jin ko aata nahin duniya mein koi fan tum ho nahin jis qaum ko parwa-e-nasheman tum ho bijliyan jis mein hon aasuda wo khirman tum ho bech khate hain jo aslaf ke madfan tum ho ho niko nam jo qabron ki tijarat kar ke kya na bechoge jo mil jaen sanam patthar ke safha-e-dahr se baatil ko mitaya kis ne nau-e-insan ko ghulami se chhudaya kis ne mere kabe ko jabinon se basaya kis ne mere quran ko sinon se lagaya kis ne the to aaba wo tumhaare hi magar tum kya ho hath par hath dhare muntazir-e-farda ho kya kaha bahr-e-musalman hai faqat wada-e-hur shikwa beja bhi kare koi to lazim hai shuur adl hai fatir-e-hasti ka azal se dastur muslim aain hua kafir to mile hur o qusur tum mein huron ka koi chahne wala hi nahin jalwa-e-tur to maujud hai musa hi nahin manfat ek hai is qaum ka nuqsan bhi ek ek hi sab ka nabi din bhi iman bhi ek haram-e-pak bhi allah bhi quran bhi ek kuchh badi baat thi hote jo musalman bhi ek firqa-bandi hai kahin aur kahin zaten hain kya zamane mein panapne ki yahi baaten hain kaun hai tarik-e-ain-e-rasul-e-mukhtar maslahat waqt ki hai kis ke amal ka mear kis ki aankhon mein samaya hai shiar-e-aghyar ho gai kis ki nigah tarz-e-salaf se be-zar qalb mein soz nahin ruh mein ehsas nahin kuchh bhi paigham-e-mohammad ka tumhein pas nahin ja ke hote hain masajid mein saf-ara to gharib zahmat-e-roza jo karte hain gawara to gharib nam leta hai agar koi hamara to gharib parda rakhta hai agar koi tumhaara to gharib umara nashsha-e-daulat mein hain ghafil hum se zinda hai millat-e-baiza ghoraba ke dam se waiz-e-qaum ki wo pukhta-khayali na rahi barq-e-tabi na rahi shola-maqali na rahi rah gai rasm-e-azan ruh-e-bilali na rahi falsafa rah gaya talqin-e-ghazali na rahi masjiden marsiyan-khwan hain ki namazi na rahe yani wo sahib-e-ausaf-e-hijazi na rahe shor hai ho gae duniya se musalman nabud hum ye kahte hain ki the bhi kahin muslim maujud waza mein tum ho nasara to tamaddun mein hunud ye musalman hain jinhen dekh ke sharmaen yahud yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho tum sabhi kuchh ho batao to musalman bhi ho dam-e-taqrir thi muslim ki sadaqat bebak adl us ka tha qawi laus-e-maraat se pak shajar-e-fitrat-e-muslim tha haya se namnak tha shujaat mein wo ek hasti-e-fauq-ul-idrak khud-gudazi nam-e-kaifiyat-e-sahba-yash bud khali-az-khesh shudan surat-e-mina-yash bud har musalman rag-e-baatil ke liye nashtar tha us ke aaina-e-hasti mein amal jauhar tha jo bharosa tha use quwwat-e-bazu par tha hai tumhein maut ka dar us ko khuda ka dar tha bap ka ilm na bete ko agar azbar ho phir pisar qabil-e-miras-e-pidar kyunkar ho har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan-asani hai tum musalman ho ye andaz-e-musalmani hai haidari faqr hai ne daulat-e-usmani hai tum ko aslaf se kya nisbat-e-ruhani hai wo zamane mein muazziz the musalman ho kar aur tum khwar hue tarik-e-quran ho kar tum ho aapas mein ghazabnak wo aapas mein rahim tum khata-kar o khata-bin wo khata-posh o karim chahte sab hain ki hon auj-e-surayya pe muqim pahle waisa koi paida to kare qalb-e-salim takht-e-faghfur bhi un ka tha sarir-e-kae bhi yun hi baaten hain ki tum mein wo hamiyat hai bhi khud-kushi shewa tumhaara wo ghayur o khuddar tum ukhuwwat se gurezan wo ukhuwwat pe nisar tum ho guftar sarapa wo sarapa kirdar tum taraste ho kali ko wo gulistan ba-kanar ab talak yaad hai qaumon ko hikayat un ki naqsh hai safha-e-hasti pe sadaqat un ki misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhi hue but-e-hindi ki mohabbat mein birhman bhi hue shauq-e-parwaz mein mahjur-e-nasheman bhi hue be-amal the hi jawan din se bad-zan bhi hue in ko tahzib ne har band se aazad kiya la ke kabe se sanam-khane mein aabaad kiya qais zahmat-kash-e-tanhai-e-sahra na rahe shahr ki khae hawa baadiya-paima na rahe wo to diwana hai basti mein rahe ya na rahe ye zaruri hai hijab-e-rukh-e-laila na rahe gila-e-zaur na ho shikwa-e-bedad na ho ishq aazad hai kyun husn bhi aazad na ho ahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-khirman hai aiman is se koi sahra na koi gulshan hai is nai aag ka aqwam-e-kuhan indhan hai millat-e-khatm-e-rusul shola-ba-pairahan hai aaj bhi ho jo brahim ka iman paida aag kar sakti hai andaz-e-gulistan paida dekh kar rang-e-chaman ho na pareshan mali kaukab-e-ghuncha se shakhen hain chamakne wali khas o khashak se hota hai gulistan khali ghul-bar-andaz hai khun-e-shohda ki lali rang gardun ka zara dekh to unnabi hai ye nikalte hue suraj ki ufuq-tabi hai ummaten gulshan-e-hasti mein samar-chida bhi hain aur mahrum-e-samar bhi hain khizan-dida bhi hain saikdon nakhl hain kahida bhi baalida bhi hain saikdon batn-e-chaman mein abhi poshida bhi hain nakhl-e-islam namuna hai birau-mandi ka phal hai ye saikdon sadiyon ki chaman-bandi ka pak hai gard-e-watan se sar-e-daman tera tu wo yusuf hai ki har misr hai kanan tera qafila ho na sakega kabhi viran tera ghair yak-bang-e-dara kuchh nahin saman tera nakhl-e-shama asti o dar shola do-resha-e-tu aaqibat-soz bawad saya-e-andesha-e-tu tu na mit jaega iran ke mit jaane se nashsha-e-mai ko talluq nahin paimane se hai ayan yurish-e-tatar ke afsane se pasban mil gae kabe ko sanam-khane se kashti-e-haq ka zamane mein sahaara tu hai asr-e-nau-raat hai dhundla sa sitara tu hai hai jo hangama bapa yurish-e-bulghaari ka ghafilon ke liye paigham hai bedari ka tu samajhta hai ye saman hai dil-azari ka imtihan hai tere isar ka khuddari ka kyun hirasan hai sahil-e-faras-e-ada se nur-e-haq bujh na sakega nafas-e-ada se chashm-e-aqwam se makhfi hai haqiqat teri hai abhi mahfil-e-hasti ko zarurat teri zinda rakhti hai zamane ko hararat teri kaukab-e-qismat-e-imkan hai khilafat teri waqt-e-fursat hai kahan kaam abhi baqi hai nur-e-tauhid ka itmam abhi baqi hai misl-e-bu qaid hai ghunche mein pareshan ho ja rakht-bar-dosh hawa-e-chamanistan ho ja hai tunak-maya tu zarre se bayaban ho ja naghma-e-mauj hai hangama-e-tufan ho ja quwwat-e-ishq se har past ko baala kar de dahr mein ism-e-mohammad se ujala kar de ho na ye phul to bulbul ka tarannum bhi na ho chaman-e-dahr mein kaliyon ka tabassum bhi na ho ye na saqi ho to phir mai bhi na ho khum bhi na ho bazm-e-tauhid bhi duniya mein na ho tum bhi na ho khema-e-aflak ka istada isi nam se hai nabz-e-hasti tapish-amada isi nam se hai dasht mein daman-e-kohsar mein maidan mein hai bahr mein mauj ki aaghosh mein tufan mein hai chin ke shahr maraqash ke bayaban mein hai aur poshida musalman ke iman mein hai chashm-e-aqwam ye nazzara abad tak dekhe rifat-e-shan-e-rafana-laka-zikrak dekhe mardum-e-chashm-e-zamin yani wo kali duniya wo tumhaare shohda palne wali duniya garmi-e-mehr ki parwarda hilali duniya ishq wale jise kahte hain bilali duniya tapish-andoz hai is nam se pare ki tarah ghota-zan nur mein hai aankh ke tare ki tarah aql hai teri sipar ishq hai shamshir teri mere darwesh khilafat hai jahangir teri ma-siwa-allah ke liye aag hai takbir teri tu musalman ho to taqdir hai tadbir teri ki mohammad se wafa tu ne to hum tere hain ye jahan chiz hai kya lauh-o-qalam tere hain
This is a great hadees e qudsi shayari. True lovers of tag photo shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore malik shayari. Please share if you liked this!!!