main ne aksar inhin aankhon ke dariche se tujhe jhankte dekha hai jab laghzish-e-anfas badhi tund-o-pur-shor sadaon ka hujum nur-afroz khalaon se ham-aghosh hua main ne aksar inhin aankhon ke dariche mein tujhe dubte dekha hai jab talkhi-e-ehsas ghati khamushi rakht-e-safar bandh chuki tund-o-pur-shor sadaon ka hujum zulmat-angez zamin-doz guphaon ka jigar chir ke unghti tanhai mein tahlil hua main ne tu ne inhin aankhon ke dariche ke qarib raushni rote hue nur ke minaron ko ashk bante hue girte hue dekha hai to kyun aandhiyan chalne lagin khauf se kanp uthin baz darichon ki lawen?