umar yun mujh se gurezan hai ki har gam pe main is ke daman se lipatta hun manata hun ise wasta deta hun mahrumi o nakaami ka dastan aabla-pai ki sunata hun ise khwab adhure hain jo dohraata hun un khwabon ko zakhm pinhan hain jo wo zakhm dikhata hun use us se kahta hun tamanna ke lab-o-lahje mein ai meri jaan meri laila-e-tabinda-jabin sunta hun tu hai meri laila-e-tabinda-jabin sunta hun tu hai mah o mahr se bhi badh ke hasin yun na ho mujh se gurezan ki abhi tak main ne jaanna tujh ko kuja pas se dekha bhi nahin subh uth jata hun jab murgh azan dete hain aur roti ke taaqub mein nikal jata hun sham ko dhor palatte hain chara-gahon se jab shab-gizari ke liye main bhi palat aata hun yun na ho mujh se gurezan mera sarmaya abhi khwab hi khwab hain khwabon ke siwa kuchh bhi nahin multawi karta raha kal pe teri did ko main