kya ab raat aise hi guzar jaegi ye raat hi to hai jo tahlil ho jati hai ek nuqte mein aur ghumti hai mere gird kale bhinbhinate hue bhanwre ki tarah wo mere kanon meri aankhon meri gardan aur mere roen roen mein bhinbhinati hai meri baghlon ke baalon se ulajhti hui mere jism ke kone khudron mein gudgudati hui ye raat mere upar phail jati hai achanak odh leti hai mujhe mere jism ki por por mein ek jal-tarang chhed deti hai main nind mein uthti hun mera halq khushk ho raha hai pani ka ek gilas thanda yakh mere honton mere halq mere sine ko tar karta hua mere jism ki jal-tarang mein mil jata hai main darwaze par dastak deti hun tum sun rahe ho raat ki jal-tarang mere jism se phut rahi hai darwaza khulta hai main tumhaare aadhe nange badan ko daboch leti hun tumhaari naf ke gadhe mein nak ki nok ghusedti hun tum muskura rahe ho raat ki shararat mere jism par phaile hue dekh kar tum hanste raat konon khudron mein phail rahi hai main tumhaare kapde utar deti hun aur wo khel khelti hun jo raat mere sath khel rahi thi main tumhaare jism ke gird apni zaban apne danton aur nakhunon ke sath bhinbhinane lagti hun tum muskura rahe ho tumhaari muskurahat mere jism ki poron ko aur khol rahi hai main zakhmi kar deti hun tumhein tum hans rahe ho raat ke paron pe sawar bhanwre ki tarah mujhe bhinbhinate dekh kar tumhaari kushada aankhon ke kone phailne lagte hain tumhaara jism akad jata hai nahin aaj tum tum khilkhilate ho main tumhaare akde hue jism par apni khuli hui poron ko rakh deti hun tumhaara jism raat ke jhag se bhar jata hai tum hanste ho hanste hi rahte ho