bahut pahle mein apni man ki baaten sun ke un pe khub hansti thi ki ammi aap sara din kabhi tangon kabhi bazu kabhi sar ya kamar ke dard ke qisse sunati hain allergy ke kai hamle dawaiyon ke kai shikwe hamesha hi batati hain hamesha shahr ke sare clinic doctor nursen kahan pe hain ya kaise hain sabhi kuchh jaanti hain un ki baaten bhi sunati hain kabhi to aur koi baat bhi mujh se kiya kije to ammi hans ke kahti thin 'samina' umr ke is daur mein aur koi baat baqi hi nahin rahti aur ab main khud pe hansti hun mere topic badalte ja rahe hain mere andar umr ki dimak kai barson se mujh ko kha rahi hai aur main chahun bhi to kuchh kar nahin sakti mujhe jab log kahte hain 'samina' aap to is umr mein bhi to main ab khud pe hansti hun main hansti hun main hansti hun