kahin kuchh jal raha hai

jab parinde lahuluhan ho kar aasman se gir rahe the
main pani ke qatre se moti chun rahi thi

jab kabutaron ke ghol ghaeb the
aasman par shamshiren chamak rahi thin

main baadalon ko bosa de rahi thi
aasmani bakhshish ne mere kore canwas par

likh di ek nazm
wahan sahilon par udte hue parinde the

barish thi
aur kabutaron ke ghol

aasman ka rang nila tha
pariyan koh-e-qaf se duaen le kar lauti thin

maut ki sarhadon se alag
jab bachchon ki loriyon mein

khauf ki mausiqi shamil ho rahi thi
main ek achchhe din ki nazm

pariyon ki kahani ke sath
un bachchon ko sunana chahti thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close