yahan mere andar darakhton ki kitni qataren sulagti rahengi wahan tere andar tadapte hue lafz lamhe parinde qataron mein baithe hue ro rahe hain darakhton ke pichhe kai chand tute hue reza reza lahu mein nahae hue kitne suraj mazaron ke katbe! kahin dhol ki thap par raqs-e-marg-e-musalsal kahin daldalon mein utarte hue jism jaise gunahgar apne kiye ki saza pa rahe hain na tu apni palkon ke kale pharere utha kar kahin ja rahi hai na main koi parcham uthae hue chal raha hun mere pas baitha hua jism mujh se ye kyun puchhta hai kisi gul ki mahiyat-e-rang kya hai? sitaron ka aahang kya hai? ye khushbu hai ya barish-e-sang kya hai ye sab zinda rahne ke hile wasile abas hain azal se abad tak wahi silsila hai yahan se wahan tak wahi dhund phaili hui hai magar dhund se kaise niklen yahi sochte sochte mar gae hum zamin se shajar ka janam zindagi ki alamat magar maut bhi hai meri umr ka aakhiri din kisi bab-e-atish-zada par khada muskurane laga hai kahin hijr ki saaten ginte ginte mujhe nind aai hui hai shumar-e-sitara ne shayad mere dil ki rangin khaliyon mein kale lahu ki ibarat likhi hai samundar mein duba hua ek makan jal raha hai