kahin bhi chhidak do ye roti ke bij ghulamon ki faslen ugate raho ye wo fasl hai jis ko pani hua bhi nahin chahiye ek faqat bhuk ki tez barish ka chhidkaw darkar hai izzat-e-nafs ki khad ko jis qadar apne pairon se masloge kuchloge utni hi achchhi milegi khabar aur to aur un ghulamon ki naslen kitabon ko apni daranti bana kar wo katengi jo un ke purkhon ne boya nahin tha munafea kamao tijori bharo aur ghulamon ki faslen ugate raho