ek majma-e-rangin mein wo ghabrai hui si baithi hai ajab naz se sharmai hui si aankhon mein haya lab pe hansi aai hui si honton pe fida ruh-e-bahaar-o-gul-o-nasrin aankhon ki chamak ru-kash-e-bazm-e-mah-o-parwin pairahan-e-zar-tar mein ek paikar-e-simin lahren si wo leta hua ek phul ka sehra sehre mein jhamakta hua ek chand sa chehra ek rang sa rukh par kabhi halka kabhi gahra har sans mein ehsas-e-farawan ki kahani khamoshi-e-mahbub mein ek sail-e-maani jazbaat ke tufan mein hai doshiza jawani fitrat nae jazbaat ke dar khol rahi hai mizan-e-jawani mein use taul rahi hai lab sakit o samit hain nazar bol rahi hai sarshaar nigahon mein haya jhum rahi hai hain raqs mein aflak zamin ghum rahi hai shair ki wafa badh ke qadam chum rahi hai ai tu ki tere dam se meri zamzama-khwani ho tujh ko mubarak ye teri nur-jahani afkar se mahfuz rahe teri jawani chhalke teri aankhon se sharab aur ziyaada mahken tere aariz ke gulab aur ziyaada allah kare zor-e-shabab aur ziyaada