wahi kashf-e-zat ki aarzu

mera dil giro meri jaan giro
chala aa ki hai mera dar khula

tu mera nasib hai rah-rau
ye hawa ye barq ye rad-o-abr ye tirgi

rah-e-intizar ki narasi
mere jaan-o-dil pe hain lau buto

mere mehman mere rah-rau
ai gurez-pa tu sarab-e-dasht khala na ban

wo nawa na ban jo fareb-e-rah-guzar ho
wo fusun-e-arz-o-sama na ban

jise dil-girafton se aar ho
jo tujhe bulati hai pai-ba-pai

wo sada jilajal-e-jaan ki hai
wo sada murur-e-zaman ki hai

kise us sada se farar ho
mera dil giro meri jaan giro

teri kun-ma-kun teri rau-ma-rau
mujhe bar-e-jaan

ki main harf jis ka bayan hai tu
main wo jism jis ki rawan hai tu

tu kalam hai main teri zaban
tu wo shama hai ki main jis ki lau

kisi naqsh-e-kar ka ek nafas
kai suraten jo sada se tishna-e-rang thin

huin wasl-e-mani se barwar
kisi but-tarash ki ek nigah

kai sang-e-aziyat-e-yas-o-marg
se bach gae

hue samt-e-rah se ba-khabar
chala aa ki meri nida mein bhi

wahi ruyat-e-azali ki hai
jise yaad ghayat-e-rang-o-bu

jise yaad raaz-e-mai-o-subu
jise yaad wada-e-tar-o-pu

chala aa ki meri nida mein bhi
isi kashf-e-zat ki aarzu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close