hindostan hamara sundar hai aur pyara dharti hai ye hamari ye swarg hai hamara jis tarah ganga jamuna do naddiyan hain pyari aisi hi ganga-jamani tahzib hai hamari jis tarah hindu muslim raunaq hain is chaman ki aise hi hindi urdu do bahnen hain watan ki ek man ki kokh se hi paida hui hain donon tahzib-e-ganga-jamni le kar badhi hain donon sikhi hain bolna ye khusraw ke aastan mein phaili hain khushbu ban kar ab sare gulistan mein hindostan se chal kar phailin jahan mein donon sab des-wasiyon ki pyari zaban hain donon urdu ho chahe hindi donon ko khub padhna kar ke padhai unchi jiwan mein aage badhna donon hain mithi mithi donon se pyar karna munh se laga ke rakhna dil se dular karna hindi zaban ki jai urdu zaban ki jai hindostan ki jai sare jahan ki jai