urdu zaban ka sher ho hindi ka ya bachan jauhar-shanas ke liye yaksan hai har sukhan sufi manaya aaj yun urdu ka yaum hai zinda zaban hai jis ki wahi zinda qaum hai mitne na pae urdu zaban desh se kabhi har-dil-aziz ye rahe aae na kuchh kami urdu o hindi donon hi man-jai do bahan donon hasin hain donon ki ye ek si phaban hain mader-e-watan ke liye donon sim-tan man ki nazar mein donon ki hai didani phaban donon ke rang-rup se gulzar hai chaman ek ek se ziyaada hai ek ek ki phaban bagh-e-watan mein yasmin hai ek yasman donon ke bu se mitte hain ranj-o-gham-o-mehan donon se baghban ki mohabbat hai ek si gulchin se is liye use hai sakht dushmani jism-e-khayal ke liye donon hain pairahan qaid-e-libas hai abas sundar ho gar badan mit jae urdu ho nahin sakta hai ye kabhi ye koshish-e-napak hai be-sud ai 'sufi'