wo premchand-munshi-e-be-misl-o-be-badal thi jis ke dam se bazm-e-adab mein chahal-pahal afsane jis ke sham-e-hidayat the bar-mahal na-waqt aah ho gaya wo luqma-e-ajal is soz-e-jaan-gusil se har ek dil kabab hai fart-e-tapish hai aatish-e-gham be-hisab hai ilmi shaghaf se us ke nahin kaun ba-khabar har qalb par fasane hue naqsh kalhajar hai bahr-e-ilm teri rawani se sar-basar daman-o-jeb-e-urdu-o-hindi hain pur-guhar tarz-e-bayan har ek ka tu ne dikha diya dhabba har ek ka apne qalam se mita diya bazm-e-adab ko khwab mein bhi ye na tha khayal unnis sau chhattis ka nahs hoga us ko sal awwal wafat-e-barq ka us ko hua malal phir chal diya jahan se ye munshi-ba-kamal naqsh-e-qarar sail-e-fana se mita hai aaj aiwan-e-nazm-o-nasr mein matam bapa hai aaj tujh ko premchand ye shayad nahin khabar kitna wafat ka teri duniya pe hai asar 'sufi' jahan mein dhundhti hai us ko har nazar ai mahtab-e-ishq bata tu chhupa kidhar kya shauq samain ka faramosh ho gaya afsana kahte kahte jo khud hae so gaya