zaban-e-hind hai urdu to mathe ki shikan kyun hai watan mein be-watan kyun hai meri mazlum urdu teri sanson mein ghutan kyun hai tera lahja mahakta hai to lafzon mein thakan kyun hai agar tu phul hai to phul mein itni chubhan kyun hai watan mein be-watan kyun hai ye 'nanak' ki ye 'khusraw' ki 'daya-shankar' ki boli hai ye diwali ye baisakhi ye id-ul-fitr holi hai magar ye dil ki dhadkan aaj-kal dil ki jalan kyun hai watan mein be-watan kyun hai ye nazon ki pali thi 'mir' ke 'ghaalib' ke aangan mein jo suraj ban ke chamki thi kabhi mahlon ke daman mein wo shahzadi zabanon ki yahan be-anjuman kyun hai watan mein be-watan kyun hai mohabbat ka sabhi elan kar jate hain mahfil mein ki is ke waste jazba hai hamdardi ka har dil mein magar haq mangne ke waqt ye begana-pan kyun hai watan mein be-watan kyun hai ye doshiza jo bazaron se ithlati guzarti thi labon ki nazuki jis ki gulabon si bikharti thi jo tahzibon ke sar ki odhni thi ab kafan kyun hai watan mein be-watan kyun hai mohabbat ka agar dawa hai to is ko bachao tum jo wada kal kiya tha aaj wo wada nibhao tum agar tum ram ho to phir ye rawan ka chalan kyun hai watan mein be-watan kyun hai