kitni mithi zaban kaisi pyari zaban meri urdu zaban fakhr-e-hindostan is mein radha ke pael ki jhankar hai zulf-e-zeb-un-nisa ki bhi mahkar hai is mein jhansi ki rani ki lalkar hai saz-o-naghma ke ham-rah talwar hai us ke daman mein hain kitni ranginiyan meri urdu zaban fakhr-e-hindostan hind mata ki beti hai urdu zaban sanwli chulbuli naujawan gul-fishan hindu muslim ke ikhlas ki dastan ittihad-o-mohabbat ka qaumi nishan kyon ise ghair kahta hai na-qadr-dan meri urdu zaban fakhr-e-hindostan is mein sarmasti-e-jam-e-shiraaz hai najd ka soz hai hind ka saz hai apni har-dil-azizi mein mumtaz hai ahl-e-hindostan ki ye aawaz hai is ko kahte hain sab dil-kash-o-khush-bayan meri urdu zaban fakhr-e-hindostan boli jati hai kashmir se ras tak samjhi jati hai gujraat madras tak ghairiyat ki nahin is mein bu-bas tak nafraton ka nahin is ko ehsas tak khas hindostani hai urdu zaban meri urdu zaban fakhr-e-hindostan kah rahi hai ye bhaarat se urdu zaban mujh se naraaz kyon madar-e-mehrban tu meri main teri hamdam-o-raaz-dan phir laga le gale se mujhe meri man 'tahira' kuchh pareshan hai urdu zaban meri urdu zaban fakhr-e-hindostan