wasia shahr mein ek chikh kya sunai de bason ke shor mein railon ki gadgadahat mein chahal-pahal mein bhidon jaisi bhanbhanahat mein kisi ko pakdo sar-e-rah mar do chahe kisi afifa ki ismat utar do chahe! wasia shahr mein ek chikh kya sunai de! azim shahr bade kaamon ke liye hain miyan wazir-e-ala ki taqrir, leaderon ke julus siyasaton ke mazahir, khulus bahr-e-khulus ye rat-jagon ki jagah, naw-nosh ka gadh hai ye tum se kis ne kaha ilm o hosh ka gadh hai abhi abhi shah-e-qufqaz aae hain dekho muazzizin-e-urus-ul-bilad sab mil kar sipas-nama unhen is tarah karenge pesh ki jaise dil ki kali phul ho gai khil kar phir is ke baad kisi bank ke bade karta koi safir kisi desh ke nae mukhiya mushir-e-sanati mansuba-bandiyon ke liye jatan saqafati aaina-saziyon ke liye bade plan, badi yojna, badi baaten ziyafaten bade hotel, badi badi ghaten! azim shahr bade kaamon ke liye hai miyan! yahan mazar hain un ke bhi jin ke nam nahin sunahri shahr ki taskhir karne aae the unhen shikam se bahut dur aage jaana tha wo is jahan ki tamir karne aae the! bade dimagh the tabba the zahin the sab magar siyasat-e-duniya mein kam-tarin the sab azim shahr bade kaamon ke liye hain miyan shikast-e-dil koi roket hai jo dikhai de azim shahr mein ek chikh kya sunai de!