aur main tumhein is chhupan-chhupai mein hum ye hi bhul gae hum kise dhundh rahe the ek bar hum raste mein mile the lekin tum ne mujhe nahin pahchana main bhi bhul gai ki main tum ko hi to talash kar rahi thi hum talash ke ek hi daere mein ghumte rahe sari zindagi guzar gai tum ko yaad ho shayad nahin hum ek cafe mein bhi mile the aur ek sadak par aur ek kamre mein aur ek ghar mein aur wahan jahan main thak gai thi tum ko dhundte dhundhe itni itni ki meri sans phulne lagi han wahin main ne irada tark kar diya tumhein dhundne ka