ek hai aisi ladki jis se tum ne hans kar baat na ki kabhi na dekha us ki aankhon mein chamke kaise moti kabhi na socha tum se aisi baaten wo kyun kahti hai kabhi na samjha milte ho to ghabrai kyun rahti hai kaise us rukhsar ki rangat sarson jaisi zard hui jab tak mili nahin thi tum se wo aisi tanha to na thi mil kar aankh bahane se wo kab tak aansu rokegi us ke honton ki larzish bhi tum ne kabhi nahin dekhi kyun aisi sunsan sadak par use akela chhod diya us ka dil to achchha dil tha jis ko tum ne yun tod diya wo kuchh nadim wo kuchh hairan rasta dhunda karti thi dhalti dhup mein apna be kal saya dekh ke hansti thi aakhir suraj dub gaya aur rah mein us ko sham hui