wo muntazir thi hazar sadiyon se muntazir thi main ek zarra hawa ke rath par sawar, hansta hua khalaon mein gungunata hazar-ha sal ke sabhi hadson ki garmi ragon mein bhar kar ghane darakhton ke narm sayon mein aa ke utra wo muntazir thi mujhe thakan se nidhaal dekha to khilkhila kar lipat gai mujh se be-tahasha mere badan ko wo rang bakhsha ki khushbuon mein nahain pagdandiyan suhani wo nur mujh ko ata kiya jagmaga gain jangalon ki tanhaiyan purani hazar sadiyan guzar chuki hain main aaj khud ko dubo chuka hun hayat ke khair o shar mein yaksar magar wo ab bhi pukarti hai mere lahu ko mere janam ki wo muntazir hai hazar sadiyon se muntazir hai