main thi aaina farosh koh-e-ummid ke daman mein akeli thi ziyan koshish surayya ki thi ham-dosh mujhe har roz hama-waqt thi bas apni khabar main thi khud apne mein madhosh main wo tanha thi jise pair milane ka saliqa bhi na tha main wo khud-bin thi jise apne har ek rukh se mohabbat thi bahut main wo khud-sar thi jise han ke ujalon se bahut nafrat thi main ne phir qatl kiya khud ko piya apna lahu hansti rahi log kahte hain hansi aisi suni tak bhi nahin