bahti aankhon ne hamari shanakht mita di hai chehre se aari jism sadkon par ludhakta hai nafrat karta hai pyar karta hai koi bhi jazba use us ki shanakht nahin lautata kante mazaq udate hain dance karte hain kya unhen aankhon ke in surakhon mein utara ja sakta hai jin mein lawa bah kar aata hai aur har us raste ko jala deta hai jis par raushni reng kar guzar sakti hai us shahrah tak pahunchne ke liye agar hamein apni aankhon se hath dhona pade to koi baat nahin chalo wahan chalen jahan log taklif-dah chizen phenk aate hain