suno tum likh ke de do na kahani mein kahan sach hai kahan pe ruk ke tum ne ghaaliban kuchh jhut likhna hai kahan aisa koi ek mod aana hai jahan chaalan mumkin hai kahan wo besh-qimat sa sunahri chhota sa dibba jo apni dhadkanon se apne hone ki gawahi de raha hai tut jaana hai kahan qari ko samjhana hai dukh ke is alaw mein jhulasti si kahani rok dena hi zaruri hai safar mein ruk ke sab ko alwidaa kahne ka lamha lazmi hai kahan tarikh likh ke is qalam ko jeb mein rakhna zaruri ho gaya hai suno tum ye batao na tumhaari tilsmati si kahani mein koi kirdar to hoga jo zimmedar hoga kahan par markazi kirdar ne dukh dard sine mein chhupana hai falak ko bad-guman kar ke zamin ko aasman hota dikhana hai nadamat aur malamat sath rakhni hai har ek saat ke sare dukh uthane hain nibhane hain batana hai mohabbat zindagi ka istiara hai mohabbat raat ka pahla sitara hai ya dukh ka aakhiri koi kinara hai