uske nam

wahi ghunchon ki shadabi wahi phulon ki nikhat hai
wahi sair-e-gulistan hai wahi josh-e-masarrat hai

wahi mauj-e-tabassum hai wahi anda-e-fitrat hai
wahi dam-e-takhayyul hai wahi rang-e-haqiqat hai

wahi subh-o-masa hoti hai lekin tum nahin hotin
badi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin

wahi makhmur raaten ab bhi taswir-e-takhayyul hain
wahi dil-chasp baaten ab bhi taswir-e-takhayyul hain

wahi pur-kaif ghaten ab bhi taswir-e-takhayyul hain
sitaron ki baraaten ab bhi taswir-e-takhayyul hain

wahi mauj-e-saba hoti hai lekin tum nahin hotin
badi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin

ghataen ab bhi uthti hain talatum ab bhi hota hai
shagufe ab bhi khilte hain tabassum ab bhi hota hai

anadil ab bhi gate hain tarannum ab bhi hota hai
jawani ab bhi hansti hai takallum ab bhi hota hai

har ek shai khush-numa hoti hai lekin tum nahin hotin
badi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin

tumhaari yaad aise mein satati hai mujhe ab bhi
shab-e-tanhai mein pahron rulati hai mujhe ab bhi

saba ke dosh par aa kar jagati hai mujhe ab bhi
hawas-o-hosh se be-khud banati hai mujhe ab bhi

tamanna-e-wafa hoti hai lekin tum nahin hotin
badi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin

junun-saman nazaron ke taqaze ab bhi hote hain
tamanna ab bhi hoti hai irade ab bhi hote hain

zamana ab bhi hansta hai tamashe ab bhi hote hain
nigahen ab bhi uthti hain ishaare ab bhi hote hain

khushi dil-ashna hoti hai lekin tum nahin hotin
badi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin

rahega yun labon par shikwa-e-jaur-e-khizan kab tak
sataega bhala nazuk dilon ko ye jahan kab tak

musalsal aazmaish aur paiham imtihan kab tak
main tum se dur rah kar ji sakunga yun yahan kab tak

tamanna kya se kya hoti hai lekin tum nahin hotin
badi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin

mujhe din raat rahti hai tumhaari justuju ab bhi
tasawwur mein kiya karta hun tum se guftugu ab bhi

khuda shahid hai mere dil mein hai ye aarzu ab bhi
ki tum aa jao chashm-e-muntazar ke ru-ba-ru ab bhi

ye khwahish barha hoti hai lekin tum nahin hotin
badi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close