hazrat aadam pe jo guzri hai sab ko yaad hai dana-e-gandum ki zinda aaj tak be-dad hai aaj phir aulad-e-adam par wahi uftad hai is ka bani bhi farishton ka wahi ustad hai daur daura aaj is ka chor-bazaron mein hai maherin-e-chor-bazari ke gham-khwaron mein hai un mein dekha is ka jalwa jo zakhira-baz hain dafn tah-khanon mein jin ke boriyon ke raaz hain boriyon se milte-julte tond ke andaz hain aur fariyaad-o-buka mein sab ke ham-awaz hain tond par hai hath aur faqon se haalat zar hai in ko indhan is jahannam ke liye darkar hai ho gaya bazar se aate ka aisa intiqal ab khule bazar mein aate ka milna hai muhaal ek zakhira-baz maulana-numa dukan-dar qaum ke is ibtila se kal bahut the be-qarar aah is millat ka kyun gehun pe hai dar-o-madar kash khati bajra ya kash ye khati jawar is ke khane ke liye nemat har ek maujud hai dana-e-gandum bhala kyun gauhar-e-maqsud hai sach jo puchho to kahun shaitan ka ration hai ye jis ne jannat lut li insan ka wo dushman hai ye haif hai insan kar de is par jannat tak nisar sab ko gandum se bachana ai mere parwardigar sainkadon man yun to gehun mere tah-khane mein hai aur maza bhi kya mujhe aazar pahchane mein hai mere hisse ki wahi mai hai jo paimane mein hai han magar dozakh jo hai gehun ke parwane mein hai jis ne gehun kha liya dozakh mein gole khaega jis ko jannat chahiye wo sirf chhole khaega