kitni mohabbaton se pahla sabaq padhaya main kuchh na jaanta tha sab kuchh mujhe sikhaya an-padh tha aur jahil qabil mujhe banaya duniya-e-ilm-o-danish ka rasta dikhaya ai dosto milen to bas ek payam kahna ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna mujh ko khabar nahin thi aaya hun main kahan se man bap is zamin par lae the aasman se pahuncha diya falak tak ustad ne yahan se waqif na tha zara bhi itne bade jahan se mujh ko dilaya kitna achchha maqam kahna ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna jine ka fan sikhaya marne ka bankpan bhi izzat ke gur batae ruswai ke chalan bhi kante bhi rah mein hain phulon ki anjuman bhi tum fakhr-e-qaum banna aur nazish-e-watan bhi hai yaad mujh ko un ka ek ek kalam kahna ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna jo ilm ka alam hai ustad ki ata hai hathon mein jo qalam hai ustad ki ata hai jo fikr-e-taza-dam hai ustad ki ata hai jo kuchh kiya raqam hai ustad ki ata hai un ki ata se chamka 'hatib' ka nam kahna ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna